-->

Monday, 13 May 2013

Wo Bankar Chahat Ka Farishtaa

wo bankar chahat ka farishtaa

wo bankar chahat ka farishtaa mere dil par yun chhaa gaya...
uski chahat ke izhar ka tarika mere dil ko bhaa gaya...

sadiyon se chahat ki pyas thi mujhko, do ghunt mein bujh gai...
apni aakhon se mere sanam ne yeh kaisa jaam peela diya...
raat barish mein bheega badan dekh uska, jazbaat behkane lage...
aasmaan mein bijli ke chamkate hee, usne mujhe gale laga liya...

baichain dil tha mera kab se , usko bahon mein bharne ke vaste...
gale lagakar usne mere dil ko do jahan ka sukun dilaa diyaa...

uski zulfein kabhi chehre par aati, uski aakhien sharm se jhuk jati...
uske labon par padi panee ki bundon ne mere soye armano ko jaga dia...

raat bhar barish hoti rahee, do dilon ko pyar mein bhigoti rahee...
dil bahut khush thaa aaj mousam ne do dilon ka mel karwa diyaa....

itna hi likha tha dosto ki ek nalayak dost ne ye h likha diya sath mein....

raat bhar barish mein jalte rahe do dil chahat ki aag mein...
subah hote hi laat mar kar bhai ne raat ke khawab se jaga dia.....

0 comments:

Post a Comment