Naa sambhaalo mujhe ab, meri haalat kharaab rehne do...
naa roko mujhe ki mere haathon mein sharaab rehne do...
dhadkane bhi tez hain, seene mein kuch toofaan saa hai...
naa hone do raat ki abhi kuch pal aur aaftaab rehne do...
dil mein hai kuch baat magar main kahun to kahun kaise...
mere har sawaal kaa tum khud ko ban ke jawaab rehne do...
nashaa mohabbat kaa asar kar rahaa hai ab dheere dheere...
jaadoo iskaa ab to mere dhadkano mein behisaab rehne do...
band aankhon mein ek chehraa tumhaaraa nazar aataa hai...
naa chhedo ki khud ko ban ke khoobsurat khwaab rehne do...
sochaa hai ek geet likhun tumhaari taarif mein main aaj...
aankhon ko saagar aur hothon ko khiltaa gulaab kehne do...
kyaa karun taarif tumhaari, alfaaz kahaan se laaun main...
husn ki malikaa ho tum, tumhe to bas laajawaab kehne do.....
0 comments:
Post a Comment