-->

Sunday, 6 July 2014

Sacha Pyar Har Baar Qurbani Dene Ke Liye Majboor Hota Hai...

Sacha Pyar Har Baar Qurbani Dene Ke Liye Majboor Hota Hai...

Kuchh Waqt Purani Tumhe Baat Btata Hu...
Kaise Hua Mai Barbaad Ye Kahani Sunata Hu...

Ham Bhi The Aam Insano Ki Tarah Apni Zindagi Ko Khul Ke Jee Rahe...
Dosto Ke Sang Haste The Bolte The Khushi Ke Jaam Pee Rahe The...
Ke Phir Achanak Se Dastak Sunayi Di Kisi Ki...
Use Dekh Kar Mano Ke Koi Had Hi Na Rahi Meri Khushi Ki...

Dhire Dhire Mai Uske Pyar Me Pagal Sa Hone Laga...
Din Raat Zamane Ko Bhool Uske Khyalo Me Khone Laga...

Uspe Bhi Asar Meri Mohabbat Ka Khoob Chha Raha Tha...
Sach Puchho To Pahle Pyar Ka Mza Ham Dono Ko Aa Rha Tha...

Halki Nokjhok Mithe Jhagdo Aur Beshumar Pyar Ke Sath Din Guzarte Gye...
Sath Sath Hum Unpe Aur Bhi Jyada Shiddat Se Marte Gye...

Phir Aagya Wo Din Jo Har Ashiq Ki Kismat Me Zaroor Hota Hai...
Sacha Pyar Har Baar Qurbani Dene Ke Liye Majboor Hota Hai...

Aayi Wo Mere Paas Kuchh Majbooriya Kuchh Bhane Le Kar...
Ham Ab Ek Nhi Ho Sakte Aise Hi Kuchh Fasane Le Kar...

Ho Sake To Maaf Karna Mera Isme Koi Kasoor Na Tha...
Maine Bhi Has Ke Use Vida Kiya Mujhe Laga Ke Mai Itna Kamzor Na
Tha.....

Magar Jaise Jaise Din Uski Vidayi Ke Nazdik Ate Gye...
Gum Ke Kale Saye Mujh Par Waise Waise Chhate Gye...

Wo Shadi Kar Chli Gyi Apne Sajan Ke Ghar...
Mai Use Dhondhta Hua Firta Raha Dar Bdar...

Uske Gum Me Mujhe Nashe Ne Gher Liya Tha...
Mujhe Uski Yaad Ne Din Rat Shrab Pine Pe Majboor Kiya Tha...

Kuchh Waqt Me Hi Mai Pure Shahar Me Badnaam Hogya...
Ek Abhagi Maa Ka Achha Beta Kisi Ki Yaado Me Kho Kar Gumnaam
Hogya...

Ab Sabko Mohabbat Karne Se Rokna Hi Kaam Hai Mera...
Koi Ek Bhi Bach Jaye Meri Wajah Se To Samjhunga K Yahi Inam Hai

Mera.......

0 comments:

Post a Comment