Aap sad doston se gujarish hai ki ek baar iss poem ko jarur padhen aur ho sake to share bhi karen - Kanika
Na bujha too battiyan, Na jala too mombattiyan...
Jhank apne andar ek baar, Dekh kahan hain galtiyan......
Kahan gaye cheer badane wale bhagwaan...
Kahan gaye asmat bachane wale krishna mahan...
Roj roj hote cheer haran se..
Kya kam pad gaya unke kapdon ka thaan...
Aaj yahan kal wahan hahakaar hua..
Aaj iska kal uska balaatkaar hua...
Chood do ginna ab unglion pe...
Aaj bahar to kal ghar mein shikaar hua...
kuch tv ka to kuch filmon ka haath batate hain...
kuch ladkiyon ke pehnaave ka dosh batate hain...
ye to tarika hai nimn maansikta ko chipane ka varna...
kahan log apne ko bhediya batate hain...
Jo kal tak ganda vichaar tha aaj charcha-e-bazaar hai...
Jo kal tak chupa tha aaj naachta sare baazaar hai...
Badta hee jayega ab ye na rukega..
Jo kal tak nazar mein tha aaj sasharir tayaar hai...
Pighalta hai mom aur jalta hai dhaga...
Betiyon ka baap rehta hai poori raat jaaga...
Koun jane fir kiski beti ke liye jalegi mombatti...
Kare to kya kare vo bechara abhaga....
Kuch to maa kee kokh mein aansuon tale dab gayin...
Bachi jo vo vehshi darindo kee bhent chad gayin...
Aadhi rehti hain zindagi bhar dari sehmi...
Baaki aadhi dahez kee aag mein zinda jal gayin...
Koun jaane in paapiyon kee aatma kahan soti hogi...
Na ho kisi kee behan beti, maa jarur hoti hogi...
Are ye neech harkat karne walon sun lo...
Koi roye na roye tumpe tumhari maa jarur roti hogi...
Balaatkariyon kee shikayat na karo balaatkariyon se...
Kya hoga sadak pe khade pradarshankariyon se...
Aage bad ke khud taang do sooli pe sabko...
Mat maango bheekh in bhikhaariyon se........
0 comments:
Post a Comment