-->

Sunday 11 May 2014

Tumhara Anchal Sarak Raha Tha...

Tumhara Anchal Sarak Raha Tha...

Tumhaaraa aanchal sarak rahaa thaa , tum use bachaa rahi thi...
main aakhen gadaaye baithaa thaa tumpe, tum sharmaa rahi thi...

chhoo letaa jab bhi main tumhaaraa haath apne haathon se to...
tum chhin leti apnaa haath mujhse, aur fir muskuraa rahi thi...
jaise kuch khoobsurat sa haadsaa huwaa ho tumhaare saath us pal...
mere haathon se apnaa haath chuudaake unhi ko dekhe jaa rahi thi...

mujhe to yaad bhi nahi ki us din tumne mujhse kyaa baat ki thi...
tumhaari wo aankhen yaad hain bas jo mujhe kuch kahe jaa rahi thi...

tumhaaraa wo haathon se zulfon ko hathaanaa, nazren jhukaanaa...
main thodi der tumhe dekh letaa to tum chehraa chhipaa rahi thi...

tumhaaraa wo kehnaa mujhse 'chhodo naa, kyun chhedte ho mujhe'...
mere kaano me aaj bhi gunj raha hai jaise tum bataa rahi thi...

haaye, tumhaari maasoom si baatein, tumhaari maasomiyat us pal ki...
main tum me hi gum thaa, aur tum bhi mujhme gum huye jaa rahi thi...

sach, kuch alag saa hi nashaa thaa us pal kaa hum dono pe hai naa...?
main thaa nahi khud me, tum mujhe mujhse aur duur kiye jaa rahi thi......

0 comments:

Post a Comment