-->

Wednesday 7 May 2014

Hum teri doli uthane aaye hain...

Hum teri doli uthane aaye hain...

Tujhko teri wo yaaden lautane aaye hain,
khud ko jee bhar ke rulane aaye hain,
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.....
tujhko paane ka ek intezaar hun,
apni laash ka M khud mazaar hun,
tere nikaah ke is mehfil ki,
hum raunak badhane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain......

koi aur tujhe aaj paa raha tha,
main is duniya ko chor jaa raha tha,
mere ishq ki jo hui maut,
hum uska jasn manane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.....

tujhme is kadar main rota raha,
raat bhar bas yunhi rota raha,
aaj ek baar fir se hum,
tumko, tumhi se churane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain......

dil churaya kyun agar todna hi tha,
apna banaya kyun agar chodna hi tha,
har shakhs ho jaye deewana,
aisa nazara hum dikhlane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.....

mujhe mat kaato eh yaad ki dhaaron,
mujh "ghayal" ko koi to sanwaro,
tujhe kisi aur ki baahon me dekh,
hum khud ko aaj jalane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain.....

jab aaj tu kisi aur pe marti hai,
to mujhe kyun bekarar karti hai,
tujhko bhulane hi to,
hum aaj fir mehkhane aaye hain,

apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain......

aaj aashiqi ka farz nibhane aaye hain,
tujhe aakhiri baar ye chehra dikhane aaye hain,
apne ishq ke is zanaze me,
hum teri doli uthane aaye hain......

0 comments:

Post a Comment